Songtexte.com Drucklogo

Suhana Safar Songtext
von Mukesh

Suhana Safar Songtext

Suhana safar aur ye mausam haseen
Suhana safar aur ye mausam haseen
Hamein dar hai, hum kho naa jae kaheen
Suhana safar aur ye mausam haseen

Ye kaun hansataa hai phulon mein chhupakar?
Bahaar baichaiyn hai kiski dhun par?
Ye kaun hansataa hai phulon mein chhupakar?
Bahaar baichaiyn hai kiski dhun par?
Kaheen gungun, kaheen runjhun ke jaise naache zameen

Suhana safar aur ye mausam haseen
Hamein dar hai, hum kho naa jae kaheen
Suhana safar aur ye mausam haseen


Ye gori nadiyon ka chalanaa uchhalkar
Ke jaise alhad chale pee se milkar
Ye gori nadiyon ka chalanaa uchhalkar
Ke jaise alhad chale pee se milkar
Pyaare-pyaare ye nazaaren, nikhaar hai har kaheen

Suhana safar aur ye mausam haseen
Suhana safar aur ye mausam haseen
Hamein dar hai, hum kho naa jae kaheen
Suhana safar aur ye mausam haseen

Vo aasamaan jhuk raha hai zameen par
Vo aasamaan jhuk raha hai zameen par
Ye milan hamne dekha yaheen par
Vo aasamaan jhuk raha hai zameen par
Ye milan hamne dekha yaheen par
Meri duniyaa, mere sapane milenge shaayad yaheen

Suhana safar aur ye mausam haseen
Suhana safar aur ye mausam haseen
Hamein dar hai, hum kho naa jae kaheen
Suhana safar aur ye mausam haseen
Suhana safar aur ye mausam haseen

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Suhana Safar« gefällt bisher niemandem.