Songtexte.com Drucklogo

Hamen Bhi De Do Sahara Songtext
von Mohammed Rafi

Hamen Bhi De Do Sahara Songtext

Ye duniyaa gam ka mela hai
Ye duniyaa gam ka mela hai
Musiibat kee kahaani hai
Koyi roe, koyi gae
Ajab ye zindgaani hai

Hamein bhee de do...
Hamein bhee de do sahaara ki besahaare hain
(hamein bhee de do sahaara ki besahaare hain)
(falak kee god se toote hue sitaare hain)
(falak kee god se toote hue sitaare hain)
(hamein bhee de do sahaara...)


Bharaa ho pet to...
Bharaa ho pet to sansaar jagamagaataa hai
(bharaa ho pet to sansaar jagamagaataa hai)
Sataae bhook to imaan dagamagaataa hai
(sataae bhook to imaan dagamagaataa hai)
Sataae bhook to imaan dagamagaataa hai

Bhalaai kiijie...
Bhalaai kiijie, do din ke ye najaare hain
(hamein bhee de do sahaara ki besahaare hain)
(falak kee god se toote hue sitaare hain)
(hamein bhee de do sahaara...)

Tere jahaan se...
Tere jahaan se, maalik, bataa kidhar jaaen?
(tere jahaan se, maalik, bataa kidhar jaaen?)
Tere huzur mein rah kar bhee thokaren khaaen
(tere huzur mein rah kar bhee thokaren khaaen)
Tere huzur mein rah kar bhee thokaren khaaen

Garib hee sahee...
Garib hee sahee, akhir to hum tumhaare hain
(hamein bhee de do sahaara ki besahaare hain)
(falak kee god se toote hue sitaare hain)
(hamein bhee de do sahaara...)

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Hamen Bhi De Do Sahara« gefällt bisher niemandem.