Songtexte.com Drucklogo

Inteha Ho Gayi Intezar Ki Songtext
von Kishore Kumar & Asha Bhosle

Inteha Ho Gayi Intezar Ki Songtext

Imtihaan ho gayi intazaar kee
Aayee naa kuch khabar mere yaar kee
Ye hamein hai yaqeen, bewafa vo nahin
Phir vajah kya huee intazaar kee?

Imtihaan ho gayi intazaar kee
Aayee naa kuch khabar mere yaar kee
Ye hamein hai yaqeen, bewafa vo nahin
Phir vajah kya huee intazaar kee?

Baath jo hai usmein, baath vo yahaan kaheen nahin kisi mein
Vo hai meri, bas hai meri shor hai yahi gali-gali mein
Saath-saath vo hai mere gam mein, mere dil kee har khushee mein
Zindagi mein vo nahin to, kuch nahin hai meri zindagi mein

Bujh naa jae ye shammaa aitbaar kee
Imtihaan ho gayi intazaar kee
Aayee naa kuch khabar mere yaar kee
Ye hamein hai yaqeen, bewafa vo nahin
Phir vajah kya huee intazaar kee?


Ho, mere sajnaa, lo main aa gayi
Ho, logon ne to die honge bade-bade nazaraane
Laayi hoon main tere liye dil mera
Dil yahi maange dua hum kabhi ho naa juda
Mera hai, mera hee rahe dil tera

Ye meri zindagi hai teri
Ye meri zindagi hai teri
Too mera sapnaa, main tuje paa gayi
O, mere sajnaa, lo main aa gayi

Gam ke andhere dhale, bujhate sitaare chale
Dekha tuje to dilon mein jaan aayee
Honton pe taraane jage, aramaan deewaane jage
Banhon mein aake too aise sharmaayi

Chha gayi phir vahee bekhudi
Chha gayi phir vahee bekhudi

Vo ghadi kho gayi intazaar kee

Ye nasha, ye khushee ab naa kam ho kabhi
Umr bhar naa dhale raat pyaar kee
—raat pyaar kee
—raat pyaar kee

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von Kishore Kumar & Asha Bhosle

Quiz
„Grenade“ ist von welchem Künstler?

Fans

»Inteha Ho Gayi Intezar Ki« gefällt bisher niemandem.