Songtexte.com Drucklogo

Tere Bina Lagta Nahin Jiya Songtext
von Wajid

Tere Bina Lagta Nahin Jiya Songtext

Tere bina, tere bina
Tere bina, tere bina

Tere bina, tere bina lagta nahin mera jiya
Ab tere siva chalein meri saansein na re, na

Mere hamsafar, phiroon dar-ba-dar
(Lagta nahin mera jiya)
Mere hamsafar, phiroon dar-ba-dar
Shaam-o-seher dhoondhe tujhko nazar

Tere bina, tere bina (tere bina) lagta nahin mera jiya (mera jiya)
Ab tere siva chalein meri saansein na re, na
Tere bina, tere bina lagta nahin mera jiya (mera jiya)
Ab tere siva chalein meri saansein na re, na

Tere bina, tere bina

Ek pal ki bhi judaai ab sahi jaati nahin
Marna jo chaahoon agar to maut bhi aati nahin
(Lagta nahin mera jiya)
Ho, ek pal ki bhi judaai ab sahi jaati nahin
Marna jo chaahoon agar to maut bhi aati nahin

Har dua meri lagti be-asar
Shaam-o-seher dhoondhe tujhko nazar

Tere bina, tere bina (tere bina) lagta nahin mera jiya (mera jiya)
Ab tere siva chalein meri saansein na re, na
Tere bina, tere bina lagta nahin mera jiya (mera jiya)
Ab tere siva chalein meri saansein na re, na

Tere bina, tere bina
Tere bina, tere bina

Na tamanna mujhko teri, na tere sansaar ki
Ae Khuda, dikhla de mujhko ek jhalak mere yaar ki
(Lagta nahin mera jiya)
Na tamanna mujhko teri, na tere sansaar ki
Ae Khuda, dikhla de mujhko ek jhalak mere yaar ki

Is zameen par, aasmaan par
Shaam-o-seher dhoondhe tujhko nazar

Tere bina, tere bina (tere bina) lagta nahin mera jiya (mera jiya)
Ab tere siva chalein meri saansein na re, na
Tere bina, tere bina lagta nahin mera jiya (mera jiya)
Ab tere siva chalein meri saansein na re, na

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Ähnliche Artists

Fans

»Tere Bina Lagta Nahin Jiya« gefällt bisher niemandem.