Brothers Anthem Songtext
von Vishal Dadlani
Brothers Anthem Songtext
Ho, tukdon mein bikhra andhera, chamka sitara jo tera
Amber pe aa dastkhat kar de
Tu ab talak tha adhura, hone hi wala hai pura
Hadd se guzar ja, tu hadd kar de
Hai chaah toh hai raasta
Ye jaan le zara
Mumkeen nahi hai kya agar
Tu thaan le zara
Teri baari hai, kamar kas le
Tere baas mein hai saare masle
Tere tutte hue dil ki zameeno pe
Himmat ki ugaa le faslein
Tere haathon mein karam hai tera
Aur khoon garam hai tera
Koi teer nishane se chooke na
Jam ke kadam rakh le
Khud mein tu hathiyar hai
Ladne ko taiyaar hai
Danke ki ek chot ke jaisa
Har tera vaar hai
Manzil tujhpe hai fida
Tera haafiz hai Khuda
Kuch aisa kar ja ke wo bhi tujhse poochhe
"Bande, batla de teri marzi hai kya?"
Har dar ka hata de kohra
Taakat ka tu ban mohra
Har lakshya ko bhed ke dikhla de
Arjun ki kahani dohra
Marham ho haram tera
Aur zakham inaam tera
Bheega ho jo tere paseene mein
Wahi jeet ka ho chehra
Mana ab hai farsh par
Tera haq to hai shikhar
Har bhandhan se toot ke
Apni manzil pe kooch kar
Charcha ho is baat ka
Duniya ki zubaan par
"Upar wale ne banaya hai kya"
"Tere dono haathon ko talwarein pighla kar?"
Amber pe aa dastkhat kar de
Tu ab talak tha adhura, hone hi wala hai pura
Hadd se guzar ja, tu hadd kar de
Hai chaah toh hai raasta
Ye jaan le zara
Mumkeen nahi hai kya agar
Tu thaan le zara
Teri baari hai, kamar kas le
Tere baas mein hai saare masle
Tere tutte hue dil ki zameeno pe
Himmat ki ugaa le faslein
Tere haathon mein karam hai tera
Aur khoon garam hai tera
Koi teer nishane se chooke na
Jam ke kadam rakh le
Khud mein tu hathiyar hai
Ladne ko taiyaar hai
Danke ki ek chot ke jaisa
Har tera vaar hai
Manzil tujhpe hai fida
Tera haafiz hai Khuda
Kuch aisa kar ja ke wo bhi tujhse poochhe
"Bande, batla de teri marzi hai kya?"
Har dar ka hata de kohra
Taakat ka tu ban mohra
Har lakshya ko bhed ke dikhla de
Arjun ki kahani dohra
Marham ho haram tera
Aur zakham inaam tera
Bheega ho jo tere paseene mein
Wahi jeet ka ho chehra
Mana ab hai farsh par
Tera haq to hai shikhar
Har bhandhan se toot ke
Apni manzil pe kooch kar
Charcha ho is baat ka
Duniya ki zubaan par
"Upar wale ne banaya hai kya"
"Tere dono haathon ko talwarein pighla kar?"
Writer(s): Ajay Gogavale, Atul Gogavale, Amitabh Bhattacharya Lyrics powered by www.musixmatch.com