Tum Ne Bhi Thukra Hi Diya Songtext
von Nusrat Fateh Ali Khan
Tum Ne Bhi Thukra Hi Diya Songtext
Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai
Dunia Se Bhi Door Huye
Apni Ana Ke Saare Sheeshe
Aakhir Chakna-Choor Huye
Humne Jin Par Ghazlein Sochien
Unko Chaha Logoon Ne
Hum Kitne Badnaam Huye The
Woh Kitne Mashoor Huye
Tark-e-Wafa Ki Saari Qasmein
Unko Dekh Ke Toot Gai
Unka Naaz Salamat Thehra
Hum Hi Zara Majboor Huye
Ek Ghadi To Ruk Kar Poocha
Usne To Ahwaal Magar
Baki Umar Na Mud Kar Dekha
Hum Aise Magroor Huye
Ab Ke Unki Bazm Mein Jane Ka ′Mohsin' Gar Izn Mile
Zakham Hi Unki Nazar Guzaarein
Ashq To Na-Manjoor Huye
Dunia Se Bhi Door Huye
Apni Ana Ke Saare Sheeshe
Aakhir Chakna-Choor Huye
Humne Jin Par Ghazlein Sochien
Unko Chaha Logoon Ne
Hum Kitne Badnaam Huye The
Woh Kitne Mashoor Huye
Tark-e-Wafa Ki Saari Qasmein
Unko Dekh Ke Toot Gai
Unka Naaz Salamat Thehra
Hum Hi Zara Majboor Huye
Ek Ghadi To Ruk Kar Poocha
Usne To Ahwaal Magar
Baki Umar Na Mud Kar Dekha
Hum Aise Magroor Huye
Ab Ke Unki Bazm Mein Jane Ka ′Mohsin' Gar Izn Mile
Zakham Hi Unki Nazar Guzaarein
Ashq To Na-Manjoor Huye
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Mohsin Naqvl Lyrics powered by www.musixmatch.com