Songtexte.com Drucklogo

Hum Tum Ek Kamre Mein Band Ho Songtext
von Laxmikant Pyarelal

Hum Tum Ek Kamre Mein Band Ho Songtext

Baahar se koi andar na aa sake
Andar se koi baahar na jaa sake

Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho

Hum-tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye
Hum-tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye
Tere naino ki bhul-bhulaiyya mein Bobby kho jaaye

Hum-tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye

Aage ho ghanghor andhera (baba, mujhe dar lagta hai)
Pichhe koi daaku, lutera (mm, kyu dara rahe ho?)

Aage ho ghanghor andhera
Pichhe koi daaku, lutera
Upar bhi jaana ho mushqil
Niche bhi aana ho mushqil

Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho

Hum-tum kahi ko jaa rahe ho, aur rasta bhul jaaye (o-ho)
Hum-tum kahi ko jaa rahe ho, aur rasta bhul jaaye
Teri baiyyan ke jhule mein, saiyyan, Bobby jhul jaaye


Hum-tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye

Basti se door, parbat ke pichhe
Masti mein choor, ghane pedo ke niche
Un-dekhi, un-jaani si jagah ho
Bas ek hum ho, dooji hawa ho

Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho

Hum-tum ek jungle se guzare, aur sher aa jaaye
Hum-tum ek jungle se guzare, aur sher aa jaaye
Sher se main kahun, tumko chhod de, mujhe kha jaaye

Hum-tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye

Aise kyu khoye-khoye ho?
Jaage ho ke soye huye ho?
Kya hoga kal kisko khabar hai
Thoda sa mere dil mein ye dar hai

Socho kabhi aisa ho to kya ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho

Hum-tum yunhi hans-khel rahe ho, aur aankh bhar aaye
Hum-tum yunhi hans-khel rahe ho, aur aankh bhar aaye
Tere sar ki qasam, tere gum se Bobby mar jaaye


Hum-tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye
Tere naino ki bhul-bhulaiyya mein Bobby kho jaaye

Hum-tum (hum-tum) ek kamre mein band ho (ek kamre mein band ho)
Aur, chaabi kho jaaye (aur, chaabi kho jaaye)
Aur chaabi kho jaaye
Aur chaabi (kho jaaye) kho jaaye

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Wer ist auf der Suche nach seinem Vater?

Fans

»Hum Tum Ek Kamre Mein Band Ho« gefällt bisher niemandem.