Songtexte.com Drucklogo

Sau Saal Pehle Songtext
von Lata Mangeshkar & Mohammed Rafi

Sau Saal Pehle Songtext

Sau saal pehle mujhe tum se pyaar tha
Mujhe tum se pyaar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega

Sau saal pehle mujhe tum se pyaar tha
Mujhe tum se pyaar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega

Tum rootha na karo, meri jaan, meri jaan nikal jaati hai
Tum hasti rehti ho toh ik bijli si chamak jaati hai
Tum rootha na karo, meri jaan, meri jaan nikal jaati hai
Tum hasti rehti ho toh ik bijli si chamak jaati hai

Mujhe jite ji, o dilbar, tera intezaar tha
Tera intezaar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega

Sadiyon se tujh se milne jiya beqaraar tha
Jiya beqaraar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega


Is dil ke taaro me madhur jhankar tumhi se hai
Aur yeh haseen jalwa yeh mast bahaar tumhi se hai

Dil to yeh mera, sanam, tera talabgar tha
Tera talabgar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega

Sau saal pehle mujhe tum se pyaar tha
Mujhe tum se pyaar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega

In pyaar ki raahon mein, kaho to ab khud ko mita doon main
Aur chaandi se kadmon mein dhadakte dil ko bichha doon main
In pyaar ki raahon mein, kaho to ab khud ko mita doon main
Aur chaandi se kadmon mein dhadakte dil ko bichha doon main

Tujhe mere jeevan par sada ikhtiyaar tha
Sada ikhtiyaar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega

Sau saal pehle mujhe tum se pyaar tha
Mujhe tum se pyaar tha
Aaj bhi hai aur kal bhi rahega

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von Lata Mangeshkar & Mohammed Rafi

Quiz
Wer singt das Lied „Haus am See“?

Fans

»Sau Saal Pehle« gefällt bisher niemandem.