Zara Nazron Se Kahdo Ji Songtext
von Hemant Kumar
Zara Nazron Se Kahdo Ji Songtext
Zaraa nazaron se kah do jee, nishaana chook naa jae
Zaraa nazaron se kah do jee...
Mazaa jab hai, tumhaaree har ada "qaatil" hee kehalaae

Hairat mein pad gaya hoon ki main tum ko kya kahoon
Zamana hai tumhaaraa...
Zamana hai tumhaaraa, chaahe jiski zindagi le lo
Agar mera kahaa maane to aise khel naa khelo
Tumhaaree is sharaarat se naa jaane kiski maut aaye

Haay, kitni maasoom lagaa rahee ho tum
Tum ko "zaalim" kahe, vo jhootha hai
Ye bholaapan tumhaaraa...
Ye bholaapan tumhaaraa, ye sharaarat aur ye shokhi
Zarurat kya tumhein talwaar kee, tiron kee, kanjar kee?

Nazar bhar ke jise tum dekh lo vo khud hee mar jae

Hum pe kyun is qadar bigadati ho?
Chhedane waale tum ko aur bhee hain
Bahaaron par karo gussa, ulajhati hain jo aankhon se
Hawaon par karo gussa jo takaraati hain zulfon se
Kaheen aisa naa ho, koyi tumhaaraa dil bhee le jae

Writer(s): Shakeel Badayuni Lyrics powered by www.musixmatch.com