Songtexte.com Drucklogo

Farda Songtext
von Bayaan

Farda Songtext

Tu sabr hai, abr hai
Karam ki tarah barasta hua

Tu sabr hai, abr hai
Karam ki tarah barasta hua
Chal yaad ki aaghosh mein
Ghamon ko chhupa ke hansta hua

Ab wafa fanaa, haya fanaa
Sach hai aur ye
Saara shahar apni raahaton ki dhun mein bekhabar
Hai, magar ab bhi aksar
Panchhi hawaaon mein zindagi ke naghme bunte hain

Farda, o farda, kya sochta hai?
Haal-e-adam se kyun bad-gumaan hai?
Qatra-qatra zindagi hai
Baarish mein bheega tera jahaan hai


Kyun noor se door hai?
Kyunki chhup ke bhanwar mein gum hai kahin?
Kyun dil mein jo alfaaz hain
Suron pe saja ke kahte nahin?

Tareekiyon mein jo dooba hai ghar
Subh ki lau bhi jalegi magar

Ki ab wafa fanaa, haya fanaa
Sach hai aur ye
Saara shahar apni raahaton ki dhun mein bekhabar
Hai magar ab bhi aksar
Panchhi hawaaon mein zindagi ke naghme bunte hain

Farda, o farda, kya sochta hai?
Haal-e-adam se kyun bad gumaan hai?
Qatra-qatra zindagi hai
Baarish mein bheega tera jahaan hai

Farda, o farda, kya sochta hai?
Haal-e-adam se kyun bad gumaan hai?
Qatra-qatra zindagi hai
Baarish mein bheega tera jahaan hai

Tera jahaan hai
Tera jahaan hai
Tera jahaan hai

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Wer singt das Lied „Haus am See“?

Fans

»Farda« gefällt bisher niemandem.