Songtexte.com Drucklogo

Mera Shauhar Songtext
von Asha Bhosle & Mahendra Kapoor

Mera Shauhar Songtext

Hum aathe hain, aathe hain thande mausam mein
(hum aathe hain, aathe hain thande mausam mein)
(tum kis ko lene aathe ho thande mausam mein?)
(hum in ko lene aathe hain thande mausam mein)
(tum kis ko lene bhejoge thande mausam mein)
(hum in ko lene bhejenge thande mausam mein)

Mera shuhar...
Ho, mera shuhar badaa sharmila, badaa sharmila
Baithaa hai dekho nazaren jhukaae
Mera shuhar badaa sharmila, badaa sharmila
Baithaa hai dekho nazaren jhukaae

Kuch kehna to chaahe, magar bol nahin paae
Zubaan khol nahin paae

Mera shuhar...
Ye mera shuhar badaa sharmila, badaa sharmila
Baithaa hai dekho nazaren jhukaae


Meri bivi...
Meri bivi gazab kee chaalu, bana ke muje bhaaluu
Dekho jee muje din bhar nachaaye (uh, allaah)
Meri bivi gazab kee chaalu, bana ke muje bhaaluu
Dekho jee muje din bhar nachaaye

Musiibat ye gale padi baithe-bithaae
Ab to allaah bachaae

Meri bivi...
Meri bivi gazab kee chaalu, bana ke muje bhaaluu
Dekho jee muje din bhar nachaaye

Baath ek raat kee hai, thak ke main jab soyaa tha
Meethe-meethe se kisi kaab mein main khoyaa tha
Huee dastak to main samajh koyi mehmaan aayaa
Kya khabar thi ki meri maut ka saamaan aayaa

Kholaa daravaaza to soorat kee ye bholee-bhali
Khaali ghar dekh ke ban baithee meri ghar waali

Qismat ne kaise muje din ye dikhae
Muje koyi to bachaae

Hae, meri bivi...
Meri bivi gazab kee chaalu, bana ke muje bhaaluu
Dekho jee muje din bhar nachaaye

Mera shuhar badaa sharmila, badaa sharmila
Baithaa hai dekho nazaren jhukaae


Ghar to khaali tha, tere ghar ko basaaya hum ne
Ban ke bivi tuje insaan banaaya hum ne
Nakhre sah kar bhee tere lab pe mere aah nahin
Kaadima aisee hoon jis kee koyi tankhwaah nahin

Teri bigadi huee har baath banegi hum se
Dekh duniyaa mein teri shaan badhegi hum se

Pyaar karoon main, ye muje aankhen dikhae
Ise laaj nahin aaye

Mera shuhar...
Ye mera shuhar badaa sharmila, badaa sharmila
Baithaa hai dekho nazaren jhukaae

Meri bivi gazab kee chaalu, bana ke muje bhaaluu
Dekho jee muje din bhar nachaaye

Musiibat ye gale padi baithe-bithaae
Ab to allaah bachaae
Hae, bivi, mera shuhar
Hae-hae-hae, bivi, ho, mera shuhar

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von Asha Bhosle & Mahendra Kapoor

Quiz
Wer besingt den „Summer of '69“?

Fans

»Mera Shauhar« gefällt bisher niemandem.