Songtexte.com Drucklogo

Kalank (Title Track) Songtext
von Arijit Singh

Kalank (Title Track) Songtext

Hawaaon mein baheinge, ghataaon mein raheinge
Tu barkha meri, main tera baadal, piya
Jo tere na huye to kisi ke na raheinge
Deewaani tu meri, main tera paagal, piya

Hazaaron mein kisi ko taqdeer aisi
Mili hai, ek Ranjha aur Heer jaisi
Na jaane ye zamaana kyun chaahe re mitaana

Kalank nahin, ishq hai kaajal, piya
Kalank nahin, ishq hai kaajal, piya

Piya, piya
Piya re, piya re, piya re
Piya re, piya re

Duniya ki nazron mein ye rog hai
Ho jinko wo jaane ye jog hai
Ek tarfa shaayad ho dil ka bharam
Do tarfa hai to ye sanjog hai

Laayi re hamein zindagaani ki kahaani kaise mod pe?
Huye re khud se paraaye ham kisi se naina jod ke


Hazaaron mein kisi ko taqdeer aisi
Mili hai, ek Ranjha aur Heer jaisi
Na jaane ye zamaana kyun chaahe re mitaana

Kalank nahin, ishq hai kaajal, piya
Kalank nahin, ishq hai kaajal, piya

(Main tera, main tera, main tera)
(Main tera, main tera, main tera, main tera, main tera)

Main gehra tamas, tu sunehra savera
Main tera, ho, main tera
Musaafir main bhatka, tu mera basera
Main tera, oh, main tera

Tu jugnu chamakta, main jungle ghanera
Main tera
Oh, piya, main tera, main tera, main tera
Main tera, main tera, ho, main tera

(Main tera, main tera, main tera)
(Main tera) main tera, main tera, main tera (main tera)
(Main tera, main tera, main tera)
(Main tera, main tera, main tera, main tera, main tera)

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Kalank (Title Track)« gefällt bisher niemandem.