Lalkaar Songtext
von Aamir Khan
Lalkaar Songtext
Hai liye hathiyar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyaar hain seena liye apna idhar
Khoon se khelenge Holi, ′gar watan mushkil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai
(Hai liye hathiyar dushman taak mein baitha udhar...)
Haath jinmein ho junoon, kat'te nahi talwaar se
Sar jo uth jaate hain woh jhukte nahi lalkaar se
Haath jinmein ho junoon, kat′te nahi talwaar se

Aur bhadkega, jo shola sa humare dil mein hai

Hum toh ghar se nikle hi the baandh kar sar pe qafan
Jaan hatheli par liye lo badh chale hain ye qadam
Zindagi toh apni mehmaan maut ki mehfil mein hai

Dil mein toofanon ki toli aur nason mein inquilab
Hosh dushman ke uda denge, humein roko na aaj
Door reh paaye jo hum se, dam kahan manzil mein hai

Writer(s): A.r. Rahman, Prasoon Joshi Lyrics powered by www.musixmatch.com